LYRIC

--MALE 1--
(Yeh main kahan aake phas gaya
Na josh hai, nahin shor hai) - 2
Do hi ghadi mein ghabra gaya
Yahan zindagi badi bore hai
Aaye nazar na koi raasta
Kinse padaa hai mera vaasta
Samajh mein kuch bhi aaye na
Main kya karoon bhalaa
Yeh main kahan aake phas gaya
Na josh hai, nahin shor hai

Koi jaane na, yaaron ke binaa
Khoya khoya sa main rahoon
Yaad aa rahe beete din mujhe
Kaise yeh ghutan main sahoon
Dekho to gaur se achha sa jhel hai
Tum saare rehte jahan
Na koi khwaab hai, na koi rang hai
Na koi hai daastaan
Neend se jaago, saath mere bhaago
Mushkil hai jeena yahan

--MALE 2--
Poocho zara hai kaisi zindagi
Jaise jeeyo hai vaisi zindagi
Jahan hai gham vahin khushi
Yeh socho to zara

--MALE 1--
Yeh main kahan aake phas gaya
Na josh hai, nahin shor hai

--MALE 2--
Nafratein yahan rukti hi nahin
Is duniya mein pyaar hai
Begaana hai yahan koi bhi nahin
Aisa yeh parivaar hai
Dharti ki gaud mein yeh apna swarg hai
Hanske yahan rehte hain hum
Hai unche hausle umeedein bhi hai jawaan
Humko na yahan koi gham
Naadaan hai, baccha hai
Akal ka tu kachcha hai
Tujhko nahin kuch bhi pataa

--MALE 1--
Buddhe ped ho, kuch na paaoge
Jhukoge na jo tum, to toot jaaoge
Na zid karo re maan lo
Yeh kehna tum mera

--MALE 2--
Aati jaati hain mushkilein badi
Haar hum kabhi maante nahin
Jaan jaaoge, maan jaaoge
Tum abhi hamein jaante nahin
Yeh bataayenge beta kal tujhe
Buddhe ped hi denge phal tujhe
Buzurgon ki jo na sune
Voh roye baad mein

--MALE 1--
Yeh main kahan aake phas gaya
Na josh hai, nahin shor hai

Added by

Mukesh

SHARE

Your email address will not be published.

ADVERTISEMENT

VIDEO

No Video Found

ADVERTISEMENTs