--MALE--
Na kisi ki aankh ka noor hoon - 2
Na kisi ke dil ka qaraar hoon
Jo kisi ke kaam na aa sake
Main voh ek musht-e-ghobaar hoon
Na kisi ki aankh ka noor hoon
Mera rang roop bigad gaya
Mera yaar mujhse bichhad gaya
Jo chaman fizaa mein ujad gaya
Main ussi ki fasle bahaar hoon
Na kisi ki aankh ka noor hoon
Na kisi ke dil ka qaraar hoon
Main kahan rahoon, main kahan basoon
Na yeh mujhse khush, na voh mujhse khush
Main zameen ki peeth ka boj hoon
Main falak ke dil ka ghobaar hoon
Na kisi ki aankh ka noor hoon
Paye faateha koi aaye kyoon
Koi chaar phool chadaaye kyoon
Koi aake shamma jalaaye kyoon - 2
Main voh bekasi ka mazaar hoon
Na kisi ki aankh ka noor hoon
Na kisi ke dil ka qaraar hoon
Jo kisi ke kaam na aa sake
Main voh ek musht-e-ghobaar hoon
Na kisi ki aankh ka noor hoon
No comments yet