LYRIC


--MALE--
Fiza, Fiza, Fiza, hey Fiza
(Tu hawa hai, fiza hai, zameen ki nahin
Tu ghata hai to phir kyoon barasti nahin
Udti rehti hai tu panchhiyon ki tarah
Aa mere aashiyaane mein aa) - 2

--FEMALE--
Main hawa hoon, kahin bhi theherti nahin
Ruk bhi jaaoon kahin par to rehti nahin
Maine tinke uthaaye hue hain paron par
Aashiyaana nahin hai mera
Ghane ek ped se mujhe
Jhoka koi leke aaya hai
Sukhe ek patte ki tarah
Hawa ne har taraf udaaya hai

--MALE--
Aa na aa
Hey, aa na aa ek dafa is zameen se uthe
Paaon rakhe hawa par zara sa ude

--FEMALE--
Chal chale hum jahan koi rasta na ho

--MALE--
Koi rehta na ho, koi basta na ho

--FEMALE--
Kehte hai aankhon mein milti hai aisi jaga

--MALE--
Fiza, Fiza

--FEMALE--
Main hawa hoon, kahin bhi theherti nahin
Ruk bhi jaaoon kahin par to rehti nahin
Maine tinke uthaaye hue hain paron par
Aashiyaana nahin hai mera
Tum mile to kyoon laga mujhe
Khud se mulaaqaat ho gayi
Kuch bhi to kaha nahin magar
Zindagi se baat ho gayi

--MALE--
Aa na aa
Hey, aa na aa saat baithe zara der to
Haath thaame rahe aur kuch na kahe

--FEMALE--
Chhooke dekhe to aankhon ki khaamoshiyaan

--MALE--
Kitni chup chaap hoti hai sargoshiyaan

--FEMALE--
Sunte hai aankhon mein hoti hai aisi sada

--MALE--
Fiza, Fiza
Tu hawa hai, fiza hai, zameen ki nahin
Tu ghata hai to phir kyoon barasti nahin
Udti rehti hai tu panchhiyon ki tarah
Aa mere aashiyaane mein aa

--FEMALE--
Main hawa hoon, kahin bhi theherti nahin
Ruk bhi jaaoon kahin par to rehti nahin
Maine tinke uthaaye hue hain paron par
Aashiyaana nahin hai mera

Added by

Mukesh

SHARE

Your email address will not be published.

ADVERTISEMENT

VIDEO

No Video Found

ADVERTISEMENTs