--MALE--
Raat ka nasha abhi aankh se gaya nahin - 2
Tera nasheela badan baahon ne chhoda nahin
Aankhen to kholi magar sapna voh toda nahin
Haan, vohi, voh vohi
Saanson pe rakha hua tere honton ka
Sapna abhi hai vahin
--FEMALE--
Oh, raat ka nasha abhi aankh se gaya nahin
Raat ka nasha abhi aankh se gaya nahin
(Tere bina bhi kabhi tujhse machal leti hoon
Karvat badalti hoon to sapna badal leti hoon) - 2
Tera khayaal aaye to balkhaake pal jaata hai
Paani ke chaadar tale tan mera jal jaata hai
Haan, vohi voh vohi
Saanson pe rakha hua tere honton ka
Sapna abhi hai vahin
Oh, raat ka nasha abhi aankh se gaya nahin
--MALE--
Raat ka nasha abhi aankh se gaya nahin
Tere gale milne ke mausam bade hote hain
Janmon ka vaada koi yeh gham bade chhote hain
Oh, tere gale milne ke mausam bade hote hain
Janmon ka vaada koi yeh gham bade chhote hain
Lambi si ek raat ho, lamba sa ek din mile
Bas itna sa jeena ho milan ki ghadi jab mile
Haan, vohi, voh vohi
Saanson pe rakha hua tere honton ka
Sapna abhi hai vahin
Raat ka nasha abhi aankh se gaya nahin
--FEMALE--
Raat ka nasha abhi aankh se gaya nahin
No comments yet