LYRIC

--MALE--
Is duniya mein desh kayi
Desh kayi mein desh hai ek
Aur us desh ka naam hai Bhaarat
Bhaarat Bhaarat Bhaarat Bhaarat
Hamaara Bhaarat, tumhaara Bhaarat
Pyaara Bhaarat, pyaara Bhaarat

--CHORUS--
Pyaara Bhaarat, pyaara Bhaarat
Hamaara Bhaarat, tumhaara Bhaarat

--MALE--
Bhaarat desh mein gaaon kayi
Gaaon kayi mein gaao hai ek
Apne gaao ke log hai nek
Logon ke seene mein rehta hai dil
Aur dil kehta hai, kehta, hai, kehta hai
Kehta hai, kehta hai, kehta hai dil

--CHILD--
Kya kehta hai dil, Ramji?

--MALE--
Hmm hmm hmm hmm hmm - 2
Aah ha ha, la la laa, aah ha ha ha ha ha ha
(Mela dilon ka aata hai
Ek baar aake chala jaata hai) - 2

--CHORUS--
Mela dilon ka aata hai
Ek baar aake chala jaata hai

--MALE--
Aate hai musaafir, jaate hai musaafir
Jaana hi hai sabko, kyoon aate hai musaafir
Mela dilon ka aata hai
Ek baar aake chala jaata hai

(Hans le, gaa le, yeh din na milenge kal
Thodi khushiyaan, hai thode se yeh pal) - 2
Ek baar chali gayi jo yeh bahaarein
Lautke na aayengi guzri bahaarein
Mela bahaaron ka, mela bahaaron ka aata hai
Ek baar aake chala jaata hai
Aati hai bahaarein, jaati hai bahaarein
Jaana hi hai unko, kyoon aati hai bahaarein

--CHORUS--
Mela dilon ka aata hai
Ek baar aake chala jaata hai

--CHILD--
Ha ha ha ha, ha ha ha ha...
Saat ajoobe is duniya mein
Aathva hai roop tera, Roopa
O Roopa, o meri Roopa
Mujhse door tu na jaana meri Roopa

--CHORUS--
Roopa, Roopa, Roopa, Roopa, hoye!

--FEMALE--
Aayi re jawaani jaise ruth toofaani
Pagli yeh deewani, uff main kya karoon
Main bhayi sayaani sab ko pareshaani
Umr yeh suhaani to main kya karoon

--MALE--
Dekh arre deewani, na kar tu nadaani
Baar baar nahin aani yeh pal bhar ki jawaani
Mela jawaani ka, mela jawaani ka aata hai
Ek baar aake chala jaata hai

--FEMALE--
Aati hai jawaani, jaati hai jawaani
Jaana hi hai isko, kyoon aati hai jawaani

--CHORUS--
Mela dilon ka aata hai
Ek baar aake chala jaata hai

--MALE--
Sa re ga ma pa dha pa ma pa dha pa ma
Ga re sa re ni sa re ga ma pa ma ga ma pa ma
Ga re sa ni, dha ni sa re ga ma ga re ga ma
Ga re sa ni dha pa ni sa re ni sa re ni sa re

--CHORUS--
Baliye, baliye, kuch dil ki sun baliye
Bas laut na din baliye

--MALE--
Ho, duniya ke is mele mein
Dhan daulat ka hai khela
Dhan paas nahin ho jiske
Voh kya dekhega mela - 2

--FEMALE--
Oye hoye, oye hoye, oye hoye hoye hoye!

--MALE--
Dukh door karoon main uska
Is gaao mein ho jo dukhiya
Har dukh ki davaa rakhta hoon
Kehte hai mujhko mukhiya - 2

--FEMALE--
Oye hoye hoye, ya ya ya
Main udti hui titli hoon
Haathon mein nahin aaoongi
Mujhe kaise pakad paaoge
Main pal mein ud jaaoongi

--MALE--
Tu chalegi aage aage
Hum chalenge peeche peeche
Dil rakh denge hum apna
Tere kadmon ke neeche
Mela mohabbat ka, mela mohabbat ka aata hai
Ek baar aake chala jaata hai

--FEMALE--
Aate bhi hai aashiq, jaata bhi hai aashiq
Jaana hi hai inko, kyoon aate hai yeh aashiq

--CHORUS--
Mela dilon ka aata hai
Ek baar aake chala jaata hai

--FEMALE--
Bulbul, bulbul, bulbul, bulbul
Meri sakhi saheli bulbul
Hmm, is gaao ke main bulbul hoon
Main udne ki hoon aadi
Main sab kuch kar sakti hoon
Par karoongi na main shaadi
Haan, karoongi na main shaadi
Ho, oh aah aah aah aah aah, aah aah, ho oh
Khela hai yahan mera bachpan
Na chhodoongi yeh aangan
Sun bhai mere, sun gaao mere
Na bandho koi bandhan - 2

--MALE--
Ho, oh oh oh
Yahi rasm hai is duniya ki
Beti to dhan hai paraaya
Duje ka dhan ghar apne
Koi bhi na rakh paaya - 2

--FEMALE--
Aah aah aah aah aah, aah aah aah
Aah aah aah, aah aah aah aah

--MALE--
Mela bidaai ka aata hai
Ek baar aake chala jaata hai
Banke behna gudiya mere ghar mein aayi
Dulhan banke jaana tha, kyoon gudiya banke aayi

--CHORUS--
(Mela dilon ka aata hai
Ek baar aake chala jaata hai) - 2

Added by

Mukesh

SHARE

Your email address will not be published.

ADVERTISEMENT

VIDEO

No Video Found

ADVERTISEMENTs