--MALE--
Yeh aarzoo thi ke haskar koi mila hota
Kahin to humse kisi ka dil aashna hota
Kisi ne bhi to na dekha nigaah bharke mujhe - 2
Gaya phir aaj ka din bhi udaas karke mujhe
Kisi ne bhi to na dekha nigaah bharke mujhe

Sawa bhi laayi na koi payaam apno ka - 2
Suna rahi hai fasaane idhar udhar ke mujhe
Gaya phir aaj ka din bhi udaas karke mujhe
Kisi ne bhi to na dekha nigaah bharke mujhe
Moaaf kijiye, jo main ajnabi hoon mehfil mein - 2
Ke raaste nahin maaloom is nagar ke mujhe
Gaya phir aaj ka din bhi udaas karke mujhe
Kisi ne bhi to na dekha nigaah bharke mujhe
Voh dard hai ke jisse seh sakoon na keh paaoon - 2
Milega chain to ab jaan se guzarke mujhe
Gaya phir aaj ka din bhi udaas karke mujhe
Kisi ne bhi to na dekha nigaah bharke mujhe
Gaya phir aaj ka din bhi udaas karke mujhe
Kisi ne bhi to na dekha nigaah bharke mujhe
Nigaah bharke mujhe, nigaah bharke mujhe
No comments yet