LYRIC

Dekho Inhein Yeh Hain Aas Ki Boondein
Patton Ki God Mein Aasmaan Se Koodein
Aandayee Lein Phir Karwat Badal Kar
Nazuk Se Moti Hans De Phisal Kar

Kho Na Jaaye Ye Taare Zameen Par

Yeh To Hain Sardi Mein Dhoop Ki Kirane
Utarein Jo Aangan Ko Sunhera Sa Karne
Mann Ke Aandheron Ko Roshan Sa Kar Dein
Thithurti Hatheli Ki Rangat Badal Dein

Kho Na Jaaye Ye Taare Zameen Par

Jaise Aankhon Ki Dibiya Mein Nindiya
Aur Nindiya Mein Meetha Sa Sapna
Aur Sapne Mein Mil Jaaye Farishta Sa Koi
Jaise Rangon Bhari Pichkari
Jaise Titliyan Phoolon Ki Kyari
Jaise Bina Matlab Ka Pyara Rishta Ho Koi

Yeh To Aasha Ki Lehar Hain
Yeh To Ummeed Ki Sehar Hain
Khusiyon Ki Nehar Hain

Kho Na Jaaye Ye Taare Zameen Par

Dekho Raaton Ke Seeney Pe Yeh Toh
Jhilmil Kisi Lau Se Ugey Hain
Yeh To Amboya Ki Khusboo Hain
Baagon Se Beh Chale
Jaise Kaanch Mein Choodi Ke Tukde
Jaise Khiley Khiley Phoolon Ke Mukhdey
Jaise Bansi Koi Bajaye Pedon Ke Taley

Yeh To Jhonke Hain Pawan Ke
Hain Yeh Ghungharoo Jeewan Ke
Yeh To Sur Hain Chaman Ke

Kho Na Jaaye Ye Taare Zameen Par

Muhaley Ki Raunak
Galiyan Hain Jaise
Khilney Ki Zid Par
Khaliyan Hain Jaise
Muthi Mein Mausam Ki
Jaise Hawayein
Yeh Hain Buzurgon Ke
Dil Ki Duwayein

Kho Na Jaaye Ye Taare Zameen Par

Kabhi Baatein Jaise Dadi Nani
Kabhi Chalkein Jaise Mum Mum Paani
Kabhi Ban Jaaye Bhole
Sawaalon Ki Jhadi
Sannatey Mein Hansee Ke Jaise
Sooney Hothon Pe Khushi Ke Jaise
Yeh To Noor Hain Barse Gar
Teri Kismat Ho Badi

Jaise Jheel Mein Lehraye Chanda
Jaise Bheed Mein Apne Ka Kandha
Jaise Manmauji Nadiya
Jhaag Udaye Kuch Kahe
Jaise Baithe Meethi Si Jhapki
Jaise Pyar Ki Dheemi Si Thapki
Jaise Kaanon Mein Sargam
Hardam Bajti Hi Rahe
Jaise Barkha Udati Hai Bundiya...

Added by

Mukesh

SHARE

Your email address will not be published.

ADVERTISEMENT

VIDEO

No Video Found

ADVERTISEMENTs