LYRIC


--MALE--
(Agar main kahoon, mujhe tumse mohabbat hai
Meri bas yehi chaahat hai to kya kahogi) - 2

--FEMALE--
Main tumse kahoongi is baat ko agar tum
Zara aur sajaake kehte, zara ghuma phiraake kehte
To achha hota

--MALE--
Agar main kahoon
Tumko jab dekhoon lagti ho jaisa nayi
Hont hain pankhadi phool ki
Aankhen jaise jugnu chamakte hue
Soche mera yeh dil dhadakte hue
Agar main kahoon
Agar main kahoon, yeh jo chehra hai
Jaise koi chaand hai to kya kahogi

--FEMALE--
Main tumse kahoongi
Mujhko bhoole se bhi chaand tum na kaho
Chaand mein to kayi daag hain
Mujhe phool na kehna voh murjhaate hain
Jugnu bhi na kehna voh kho jaate hain
Yeh baatein puraani hain jo mujhko sunaati hain
Kisi aur ada se kehte, zara ghuma phiraake kehte
To achha hota

--MALE--
Agar main kahoon, mujhe tumse mohabbat hai
Meri bas yehi chaahat hai to kya kahogi
Agar main kahoon
Baatein sunke tumhaari main hairaan hoon
Jo bhi kehna hai kaise kahoon
Lagta tumhe kuch bhi achha nahin
Sach ko bhi kehti ho sachcha nahin

--FEMALE--
Agar main kahoon
Agar main kahoon tumhe pata nahin hai kyoon
Hai pyaar mujhe bhi tumse to kya kahoge

--MALE--
Main tumse kahoonga mere dil ka hai yeh kehna
Humko hai saath mein rehna

--FEMALE--
Yeh dono ke dil mein hai na
To phir kyoon kehna

--MALE--
Agar main kahoon

--FEMALE--
To main tumse kahoongi

Added by

Mukesh

SHARE

Your email address will not be published.

ADVERTISEMENT

VIDEO

No Video Found

ADVERTISEMENTs