--MALE--
(Yeh jo des hai tera
swades hai tera
tujhe hai pukaara
yeh woh bandhan hai
jo kabhi toot nahin sakta) - 2
mitti ki hai jo khushbhoo
tu kaise bhoolayega
tu chaahe kahin jaaye
tu laut ke aayega
nayee nayee raahon mein
dabbi dabbi aahon mein
khoye khoye dil se tere
koi yeh kahega
yeh jo des hai tera
swades hai tera
tujhe hai pukara
yeh woh bandhan hai
jo kabhi toot nahin sakta
tujhse zindagi hai yeh kahe rahi
sabh to paa liya abh hai kya kami
yunh to saare sukh hai barse
par door tu hai apne ghar se
aa laut chal tu abh deewanae
jahan koi to tujhe apna maane
awaaz de tujhe bulaane wahi des
yeh jo des hai tera
swades hai tera
tujhe hai pukara
yeh woh bandhan hai
jo kabhi toot nahin sakta
yeh pal hai wahi
jis mein hai chuupi
koi ek saadi, saari zindagi
tu na pooch raaste mein kaahe
aaye hain is tarha do raahein
tu hi to hai raah jo sujhaye
tu hi to hai abh to jo yeh bataye
chaahe to kis disha mein jaaye wahi des
yeh jo des hai tera
swades hai tera
tujhe hai pukara
yeh woh bandhan hai
jo kabhi toot nahin sakta
No comments yet