--FEMALE--
Main kya karoon
Kya karoon, kya karoon, kya karoon
Ho, main kya karoon
Kya karoon, kya karoon, kya karoon
Prem deewaani hoon, par main anjaani hoon
Uljhi hai jo dori voh main kaise suljhaaoon
Main kya karoon
Kya karoon, kya karoon, kya karoon
(Main chali thi sapnon ke rath mein
Phir chalte chalte mujhe mann ke path mein
Yeh doraah kaisa mila
Ek aur sab reet rasmein
Aur ek aur chaahat ki kasmein
Ab kya main kahoon kya mila) - 2
Ek aur jeevan hai, ek aur saajan hai
Meri ab jo uljhan hai voh kaise samjhaaoon
Main kya karoon
Kya karoon, kya karoon, kya karoon
(Mat bhool jaa ke tu afsaara hai
Tujhko anant jeevan mila hai
Mujhe logon se sunna pada
Par kya karoongi yug yug mein jeeke
Preetam ke sang ek pal jo beete
Voh pal hai yugon se bada) - 2
Todke har bandhan, chhodke har aangan
Mann kahe har pal pi ke sang main bitaaoon
Main kya karoon
Kya karoon, kya karoon, kya karoon
Prem deewaani hoon, par main anjaani hoon
Uljhi hai jo dori voh main kaise suljhaaoon
Main kya karoon
Kya karoon, kya karoon, kya karoon
No comments yet