--MALE 1--
Main gaaoon tum gaao, khushiyon ke rang chhalkaao - 2
--FEMALE 1--
(Nayi raahein khole hain baahein
To kyoon na chaahe yeh nigaahein koi saathi bhi naya) - 2
--MALE 2--
Yeh armaan kitne sapne dikh laate hai
Kaise kaise tadpaate hai, duniya mein koi jaane na, ho
--FEMALE 1--
Main gaaoon tum gaao, khushiyon ke rang chhalkaao
--MALE 1--
Main gaaoon tum gaao, khushiyon ke rang chhalkaao
Paayi jo yeh khushi hai hairaani ho rahi hai
Baat aisi ho gayi hai jiski umeed dil ko na thi
--FEMALE 1--
Umeedein ho bhi to kya, hoga voh hai jo hona
Duniya mein kisne jaana kab dikhaayegi kya zindagi
--MALE 1--
Meri armaan ban banke toofaan
Karte pareshaan ab aasaan mera jeena ho gaya
--FEMALE 2--
Yeh armaan kitne sapne dikh laate hai
Kaise kaise tadpaate hai, duniya mein koi jaane na, ho
--MALE 2--
Main gaaoon tum gaao, khushiyon ke rang chhalkaao
--FEMALE 2--
Main gaaoon tum gaao, khushiyon ke rang chhalkaao
--FEMALE 1--
Dekho hai shaam rangeen, haathon mein jaam rangeen
Ab koi naam rangeen socho is rangeen afsaane ka
--MALE 2--
Afsaane yeh hai dil ke, anjaane log milke
Yeh maane phool khilke rasta takta hai murjhaane ka
--FEMALE 2--
Sun pyaare, dil mein hamaare
Armaan hai saare tumhaare, pata tumko hai kya
--MALE 2--
Yeh armaan kitne sapne dikh laate hai
Kaise kaise tadpaate hai, duniya mein koi jaane na, ho
--ALL--
Main gaaoon tum gaao, khushiyon ke rang chhalkaao - 2
--FEMALE 2--
O, nayi raahein khole hain baahein
To kyoon na chaahe yeh nigaahein koi saathi bhi naya
--MALE 2--
Yeh armaan kitne sapne dikh laate hai
Kaise kaise tadpaate hai, duniya mein koi jaane na
--FEMALE 1--
Yeh armaan kitne sapne dikh laate hai
Kaise kaise tadpaate hai, duniya mein koi jaane na, jaane na
--MALE 1--
Main gaaoon tum gaao, khushiyon ke rang chhalkaao
--ALL--
Main gaaoon tum gaao, khushiyon ke rang chhalkaao - 5
No comments yet