LYRIC


--MALE--
Baat meri suniye to zara - 2
Meri baat sunke yeh bataaiye
Ke iske baare mein hai aap ka khayaal kya
Itna kyoon guroor aap mein hai
Itna aap mein hai naaz kis liye
Bataaiye hai kisne yeh sikhaaya aap ko
Ke jo bhi tumko chaahe jo bhi tumko pyaar se mile
Usi se tum raho khafa khafa

--FEMALE--
Baat meri suniye to zara
Aise hum nahin hai lekin hum agar ho aise bhi
To is mein kya hua
Kyoon na ho guroor humko kyoon na humko naaz ho
Ke hum haseen logon ki hi thokron mein hai zamaana
Jisko dekhiye hamaara hai deewaana
Hum kisi ka dil bhi tod de
Kisi ko aadhe raaste mein chhod de
To usko bhi yeh duniya kehti hai ada

--CHORUS--
Hey hey hey aap ko jawaab mil gaya
Ho ho ho kahiye kaisa aap ko laga

--MALE--
Baat meri suniye to zara
Aaj sun hi lijiye ke kya hai husn aap ka
Kya hai aap ki ada
Aap ke har ek sitam ko humne hi ada kaha
Aur aap ki har ek ada ko hanske humne hi saha
Humne hi zara si ek baat ko badhaake daastaan kar diya hain
Humne hi to husn ki zameen ko aasmaan kar diya hain
Duniya mein jo aap ka yeh husn bemisaal hai
To is mein bhi hamaare ishq ka yeh to kamaal hai
Agar hami na hote isko kaun poojta

--FEMALE--
Aap ko agar khayaal hai - 2
Ke humko husn jo mila hai aapne diya hai
Yaani jo bhi hai kamaal aapne kiya hai
To yeh baat saaf hai ke humko dekhte hi
Aap ko nasha sa ho gaya hai saara hosh kho gaya hai
Varna aisi ulti seedhi baheki baheki baaton ki vaje hai kya

--MALE--
Nahin samajh mein aayi meri baat to nahin sahi
Jo aap apne husn par guroor karte hain to kariye
Par na bhool jaaiyega
Humne hi voh khoon-e-dil diya hai
Jisse roop mein yeh rang aa gaya hai
Aap ka yeh husn duniya bhar pe chha gaya hai

--FEMALE--
O, jaadu banke hum nigaahon par jo chha gaye
Dilon mein jo sama gaye to hairat is mein kya hai
Chehra phool hont kaliyon aur zulf hai andhera
Aisa jo mahek raha hai

--MALE--
Humne hi to aap ke in honton ko gulaab
Aur chehre ko kanwal kaha hai
Humne hi to aap ki nazar ko jaadu
Baaton ko ghazal kaha hai
Humne hi to zulf ko kabhi kaha hai raat aur kabhi ghata
Agar hami na dekhte na chaahte na poojte
To pattharon ke buth ko kaun kehta phir khuda

--FEMALE--
Baat meri suniye to zara

--MALE--
Chhodiye bhi kehne aur sunne ko baat kya raha

--FEMALE--
Dekhiye main keh rahi hoon
Baat meri suniye to zara

--MALE--
Aap kya kahengi mujhko khoob hai pata

--FEMALE--
Arre baat meri suniye to zara

--MALE--
Phir milenge waqt agar mila

--FEMALE--
Par baat meri

Added by

Mukesh

SHARE

  1. khizar

    March 10, 2014 at 10:20 am

    Shankar is a great music composer
    unbeatable

  2. Sharmistha Ghosh

    April 22, 2020 at 2:12 am

    One of the best song ever!! Words, composition and singing..my favorite since years.

Your email address will not be published.

ADVERTISEMENT

VIDEO

No Video Found

ADVERTISEMENTs