Maine poocha chand se ki dekha hae kahin,
mere yaar sa hasin
Chand ne kaha, chandni ki kasam,
nahin, nahin, nahin
Maine ye hijaab tera dhoondha
har jagah jawab tera dhoondha
Kaliyon se misal teri poochi
Phoolon me jawab tera dhoondha
Maine poocha baag se
Ki dekha hae kahin, mere yaar sa hasin,
Baag ne kaha, har kali ki kasam
Nahin, nahin, nahin..
Nazar na lag jaye, kisi ki rahon me
Chhupa ke rakh loon aa, tujhe nigahon me,
Tu kho na jaye, O my love…
Dekh kar teri taraf bahar, aaj ho rahi hae bekaraar
Chhu rahe hae phool yoon tujhe, jaise ho inhe bhi tujhse pyar
Ye ho na jaye, O my love..
thomas
Chhu kar mere man ko, kiya tune kya ishara
Badala ye mausam, lage pyara jag sara
Tu jo kahe jeevan bhar, tere liye mae gaoon
Geet mere hoton se, likhta chala jaoon
Tu hi mera jeevan, tu hi jeene ka sahara
Chhu kar mere man ko, kiya tune kya ishara
That's a movie name, but here it goes-
Ghunghroo ki tarah bajata hi raha hoon mae
kabhi is pag me, kabhi us pag me, bandhta hi raha hoon mae
Kabhi toot gaya, kabhi toda gaya,
sau baar mujhe fir joda gaya.
yoohin lut lut ke aur mit mit ke
banta hi raha hoon mae..
Next – dekho
lo aa gayi unki yaad wo nahin aaye..
dil unko dhoondta hae, ghum ka singaar kar ke
aanke bhi thak gai hae, ab intezaar kar ke
ek saans reh gayi hae, wo bhi na toot jaye
lo aa gayi unki yaad wo nahin aaye
ye shaam ki tanhayian
aise me tera ghum
patte kahin fadke hawa
aai to chowke hum
raat aur din, diya jale
mere man me fir bhi andhiyara hae
jane kahan hae wo sathi
tu jo mile jivan ujiyara hae
raat aur din, diya jale
mere man me fir bhi andhiyara hae
jane kahan hae wo sathi,
tu jo mile jivan ujiyara hae.