translation (jal – atif aslam,abijheet sawant)

Viewing 2 reply threads
  • Author
    Posts
    • #5731
      swarna
      Participant

      hi, i was wondering if anyone could translate these songs for me pls..

      JAL – WOH LAMHEY / BHEEGI YAADEIN
      ABIJHEET SAWANT – MOHABBATEIN LATAUNGA

      Here are the lyrics:

      JAL (ATIF ASLAM) – WOH LAMHEY/ BHEEGI YAADEIN
      Woh lamhey
      Woh raatein
      Koi na janay
      Thi kaisi baatein
      Woh barsatein
      Woh bheegi bheegi yaadein

      Na mein janoon
      Na tu janay
      Kaisa hai yeh aalam
      Koi na janay

      Phir kyoon hai yeh tanhai
      Kaisi hai yeh ruswai
      Ghum ho gaye kyoon
      Kho gaye hum

      Saagar ki in lehron se gehra hai mera pyaar
      Sehraon ki in hawaon mein
      Kaise aye gi bahar

      Aandhi ho ya toofan ho
      Mere mann mein rahay tu sada
      Koi apna ho ya paraya ho
      Ussay dhoondo mein kahan


      ABIJHEET SAWANT – MOHABBATEIN LATAUNGA
      Main chhed ke mann ka saans saans
      Phir gaaunga
      Phir sab ke dil ko aaj aaj, behlaoonga
      Is manzar ko is pal ko bhool na paoonga
      Main bhool ise na paoonga

      In lamhon ka mujhe kab se intezaar tha
      In khushiyon ke liye kab se beqeraar tha
      Manzil milegi mujhe, pura aitbaar tha
      In palkon mein dekhe sapne hazaar
      Door tak jaoonga
      Is manzar ko is pal ko bhool na paoonga
      Is manzar ko is pal ko bhool na paoonga
      Main bhool ise na paoonga

      Kitna suhaana sa yeh apna safar hai
      Aap ki duaon ka saara asar hai
      Aap ka hai sab kuch aap ko nazar hai
      Aap ki inaayeton pe baar baar baar sar ko main jhukaoonga
      Is manzar ko is pal ko bhool na paoonga
      Is manzar ko is pal ko bhool na paoonga
      Main bhool ise na paoonga

      Bhikre hain chaaron taraf rang dosti ke
      Armaan pure huwe sab zindagi ke
      Akhiyon mein bhar aaye aansoon khushi ke
      Barsa ke aansuo ki meethi meethi dhaar
      Aap ko hasaoonga
      Is manzar ko is pal ko bhool na paoonga
      Is manzar ko is pal ko bhool na paoonga
      Main bhool ise na paoonga
      Mohabbatein lutaaunga
      Main chhed ke mann ka saans saans
      Phir gaaunga
      Phir sab ke dil ko aaj aaj, behlaoonga
      Is manzar ko is pal ko bhool na paoonga
      Main bhool ise na paoonga



      Also, if someone finds lyrics for Sonu Nigams – Chanda Ki Doli, cld u pls post that on here as well? Thanks a million! =)

    • #9800
      Madhu
      Participant

      JAL (ATIF ASLAM) – WOH LAMHEY/ BHEEGI YAADEIN
      Woh lamhey
      those moments
      Woh raatein
      those nights
      Koi na janay
      no one knows
      Thi kaisi baatein
      what kind of things were talked about
      Woh barsatein
      those rain showers
      Woh bheegi bheegi yaadein
      those wet memories

      Na mein janoon
      neither I know
      Na tu janay
      nor you know
      Kaisa hai yeh aalam
      how is this condition
      Koi na janay
      no one knows

      Phir kyoon hai yeh tanhai
      why is there this solitude
      Kaisi hai yeh ruswai
      how is this infamy
      Ghum ho gaye kyoon
      why did you get lost
      Kho gaye hum
      I have gotten lost

      Saagar ki in lehron se gehra hai mera pyaar
      my love is deeper than the waves of the ocean
      Sehraon ki in hawaon mein Kaise aye gi bahar
      how will spring come to the winds of this desert
      Aandhi ho ya toofan ho
      whether it is strong winds or a storm
      Mere mann mein rahay tu sada
      you will always be in my heart
      Koi apna ho ya paraya ho
      whether some one is mine or some one elses
      Ussay dhoondo mein kahan
      where do I find her

      Madhu Smile [:)]

    • #9801
      swarna
      Participant

      thank u so much! i LOVE that song! =)

Viewing 2 reply threads
  • You must be logged in to reply to this topic.