dushamana, rehnuma, tujhpe hai abb toh yeh meri jaan nisaar – 2
jaan nisaar, jaan nisaar…..
hai raqeeb tu mera – 2
aalam behka behka, manjar hai dhuwaan sa
saansein pyaasi pyaasi, mausam badguma sa
ansuni ankahi main tere ishq ki daastaan
tujhpe hai abb toh yeh meri jaan nisaar – 2
jaan nisaar, jaan nisaar…..
hai raqeeb tu mera – 2
armaan jaage jaage, raate soyi soyi
main bhi duba duba, tu bhi khoyi khoyi
do kadam hum badhe toh mite bereham duriya
tujhpe hai abb toh yeh meri jaan nisaar
hai raqeeb tu mera – 2
[Singers:Kunal and Sunidhi Chouhaan in RAQEEB]
Next>>>> E
bahe ankhiyon se dhaar, jiya mera beqaraar
suno suno dildaar, jaaoge kahaan dil tod ke,dil tod ke
O'saathi meri taqdeer ke, tumhe kaise deekhaaon dil cheer ke
mera pehla pehla pyaar, meri paheli paheli haar
suno suno dildaar, jaaoge kahaan dil tod ke,dil tod ke
meri duniya to hai barbaad hi, le te jaa o tum apni yaad bhi
dil men ansu o ki haar, karun tum ko pukaar
suno suno dildaar, jaaoge kahaan dil tod ke,dil tod ke
jab nazarein kisi ko naa paayegi, mujhse ratiyaan guzaari na jaayegi
le ke dil mein intezaar, kaise beetengi bahaar
suno suno dildaar, jaaoge kahaan dil tod ke,dil tod ke
bahe ankhiyon se dhaar, jiya mera beqaraar
suno suno dildaar, jaaoge kahaan dil tod ke,dil tod ke
[Lata Ji in HAMLOG-1951.Music Roshan]
Next>>> C
Waqt Hamaara Hai
next: fidelity
hai isi men pyaar ki aabaru
vo jafa karen, main vafa karun
jo vafa bhi kaam na aa sake
to vohi kahen ke, main kya karun
zindagi bhar gham judaai ka, mujhe tadapaaegaa | |
har naya mausam, puraani yaad lekar aaegaa | |
zindagi bhar gham………… | |
hain vahi raahen, vahi galiyaan, magar sunasaan hain | |
tu nahin to dil ki saari bastiyaan veeraan hain | |
dil men hai, jo gham tera, vo jaan lekar jaaegaa | |
zindagi bhar gham………… | |
zindagi bhar, gham judaai ka, mujhe tadapaayega,
har nayaa mousam, puraani yaad le kar aayega;
nasha ye pyaar ka nasha hai
ye meri baat yaaron maano
nashe men yaar doob jaao
raho na hosh men deewaanon
ke jab se maine tum ko dil ye de diya
meethaa-meethaa saa dard le liyaa
suno o priya maine tum ko dil diya
nasha ye pyaar ka
next: pukaaro
na gubaar men, na gulaab men, mujhe dekhana
mere dard ki aab-o-tab men, mujhe dekhana
[Ashaar by Ada Jafri]
aisi teri yaad aati hai, jaise jaan meri jaati hai
meri chudi khanak jaati hai, meri chunari khasak jaati hai
next:zindagi
Aaya hai mujhe phir yaad, woh zaalim
guzaraa zamaana bachapan ka
waqt ne kiya kya hansin sitam
tum rahe na tum, ham rahe na ham
waqt ne kiya….
beqaraar dil, is tarah mile
jis tarah kabhi, ham juda na the
tum bhi kho gae, ham bhi kho gae
ek raah par, chalake do qadam
waqt ne kiya
Na kisi ka noor hon
na kisi ke dil ka karar hon
jo kisi ke kaam asage main wo ek musti pokar hon
na kisi ki aakh ka noor hon
For your information and correct verses.
This Nazam was written by Bahaadur Shah Zafar [last Moghul Emperor] right wordings are as follows:
na kisi ki aankh ka noor hun
na kisi ke dil ka qaraar hun
jo kisi ke kaam na aa saka
main vo ek musht-e-gubaar hun
na to main kisi ka habib hun
na to main kisi ka raqib hun
jo bigad gaya vo nasib hun
jo ujad gaya, vo dayaar hun
meraa rang-roop bigad gaya
mera yaar mujhase bichhad gaya
jo chaman khizaan men ujad gaya
main usi ki fasl-e-bahaar hun
[There are few more verses sung by different singers]
ye aalam shauq ka, dekha na jaaye
vo buut hai ya Khudaa, dekhaa na jaaye
gori teraa gaanv badaa pyaaraa
main to gayaa maaraa
aake yahaan re, aake yahaan re
usapar roop teraa saadaa
chandramadhu aadhaa
aadhaa javaan re, aadhaa javaan re
chal akelaa, chal akelaa, chal akela
teraa melaa pichhe chhuutaa raahi chal akela
next:Pukaar
din saara guzaara tore angana
ab jaane de mujhe more sajana
mere yaar shab-ba-Khair
o mere yaar shab-ba-Khair
aasaan hai jaana mahafil se
o kaise jaaoge nikal kar dil se
mere yaar shab-ba-Khair
Tum hi mere mandeer, tum hi meri pooja
tum hi devataa ho, koi meri aankhon se
dekhe to samajhe, ke tum mere kya ho
next:U
neend pari, lori gaae
maan jhulaae jhulana
so ja mere laalana
meethe-meethe sapanon men
kho jaa mere laalana
neend pari, lori gaae
qaraar lootanevaale, qaraar ko tarase
meri vafa ko, mere aitabaar ko tarase
tu roye raat ki tanahaaiyon men uth-uth kar
tujhe qaraar na aaye, qaraar ko tarase
Khuda kare* tera rangin shabaab ujad jaaye
teri sharaab-e-javaani, khumaar ko tarase
Kkuda kare* tere dil ki kali kabhi na khile
bahaar aae magar, tu bahaar ko tarase
*[Seems that lyricist (Saifuddin Saif) is very very displeased with his lover, is hi liye bad-du'a de rahaa hai]
next: R
haal-e-dil main ne jo duniyaa ko sunaanaa chaahaa
mujh ko har shakhs ne dil apanaa dikhaanaa chaahaa