Forum Replies Created

Viewing 20 posts - 2,701 through 2,720 (of 3,434 total)
  • Author
    Posts
  • in reply to: Ghazal Antakshari…. #61344
    p u r n i m a
    Participant

    welcome back……………

    hamaare daramiyaan, aisaa koi rishtaa nahin thaa
    tere shaanon pe koi chhat nahin thi
    mere zimme koi aangan nahin thaa
    koi vaadaa teri zanjeer-e-paa banane nahin paayaa
    kisi iqaraar ne meri kalaai ko nahin thaamaa
    havaa-e-dasht ki maanind
    tu aazaad thaa
    raaste teri marzii ke tabe the
    mujhe bhi apani tanhaai pe
    dekhaa jaaye to
    puraa tasarruf thaa
    magar jab aaj tu ne
    raastaa badalaa
    to kuchh aisaa lagaa mujh ko
    ke jaise tu ne mujh se bevafaai ki

    [a fine ghazal by: Parveen Shakir]

    next: K

    p u r n i m a
    Participant

    I know, but I will not tell you, because this is not proper thread for querry.

    p u r n i m a
    Participant
    piyaa milan ko jaanaa, ha(n) ha(n) piyaa milaan ko jaanaa
    jag ki laaj, man ki mouj, dono ko nibhaanaa
    piyaa milan ko jaanaa, ha(n) ha(n) piyaa milaan ko jaanaa
    kante bikharaa ke chalu(n), paani dhalkaa ke chalu(n) -2
    sukh ke liye sikh rakhu(n) -2
    pahele dukh uthaanaa, piyaa milan ko jaanaa………
    paayal ko baandh ke -2 , uthi chubh naag ke (?)
    paayal ko baandh ke,
    dheere dheere dabe dabe pao(n) ko badhaanaa
    piyaa milan ko jaanaa……………………..
    bujhe diye andheri raat, aankho(n) par dono(n) haath -2
    kaise kate kathin baat -2
    chal ke aazmaanaa, piyaa milan ko jaanaa
    ha(n) piyaa milan ko jaanaa
    piyaa milan ko jaanaa,, jaanaa
    piyaa milan ko jaanaa, ha(n)

    piyaa milan ko jaanaa

    in reply to: songs from other languages. #22959
    p u r n i m a
    Participant

    Is there any diference between GARBA song and DANDIYA song in Gujaraati culture ?

    in reply to: Simple Antakshri #19038
    p u r n i m a
    Participant

    na hanso ham pe, zamaane ke hain thukaraae hue
    dar-ba-dar phirate hain, taqadeer ke bahakaae hue
    na hanso ham pe……….

    kyaa bataaen tumhen, kal ham bhi chaman vaale the
    ye na poochho ke, hai viraane men kyun aae hue
    na hanso ham pe…………..

    baat kal ki hai ke, phoolon ko masal dete the
    aaj kaanton ko bhi, seene se hain lipataae hue
    na hanso ham pe ……..

    aisi gardish men na daale kabhi qismat tum ko
    aap ke saamane, jis haal men hain aae hue
    na hanso ham pe…….

    ek din phir vahi, pahali si bahaaren hongi
    is ummeed pe, ham dil ko hain bahalaae hue
    na hanso ham pe……

    [A memorable fine combination by Lata Jee, Madan Mohan Jee and Rajendra Krishna Jee from Movie “Gateway of India”]

    in reply to: Antakshari with any word from the song…… #52075
    p u r n i m a
    Participant

    hum pyaar men jalanevaalon ko
    chain kahaan, haaye, aaraam kahaan

    in reply to: ANTAKSHARI: OLD SONGS ONLY!! #54190
    p u r n i m a
    Participant

    kaahe jaadu kiyaa, mujh ko itana bata, jaadugar baalama
    mujh ko apani khabar hai naa, dil kaa pataa jaadugar baalama

    next M

    in reply to: Guess the film….. #55904
    p u r n i m a
    Participant

    Its from VIJAYPATH.

    next:

    chaand aahen bharegaa
    phool dil thaam lenge;
    husn ki baat chali to
    sab teraa naam lenge

    [clue: sung by Mukesh Jee]

    in reply to: Title Transtation Game #63631
    p u r n i m a
    Participant

    MRITYUDAND

    next:DEEPNESS

    in reply to: 1 alphabet change game #63196
    p u r n i m a
    Participant

    SHAKER

    in reply to: 1 alphabet change game #63193
    p u r n i m a
    Participant

    SHRIKE

    in reply to: Title Transtation Game #63629
    p u r n i m a
    Participant

    RAKSHA

    next:

    “I am basil of your courtyard”

    in reply to: 1 alphabet change game #63191
    p u r n i m a
    Participant

    Nisha, no need for sorry, I feel guilty,when someone says sorry to me. [Insaan khataa ka putalaa hai].Your replies always posted with care, but sometime in hurry one can commit mistake.

    Back to the game: STRIKE

    p u r n i m a
    Participant
    <td class="xl25" style="border-right:#ece9d8;border-top:#ece9d8;border-left:windowtext 1pt solid;border-bottom:#ece9d8;height:14.25pt;background-color:#ccffff;
    khaamosh hai khewanhaar mera,
    naiyya meri doobi jaati hai
    khaamosh hai khewanhaar meraa,naiyya meri doobi jaati hai
    zinda hun magar ab jine ki,umeed bhi tuti jati hai
    saahil ki tamanna thi mujh ko, majhadhaar me beda ja pahoncha
    jeene ki duaayen kya maangu, paani to gaale tak aa pahoncha
    in reply to: Guess the film….. #55902
    p u r n i m a
    Participant

    Its from SADAK-1991

    next:

    tumhen apanaa banaane ki kasam khaai hai
    teri aankhon men chaahat hi nazar aai hai

    in reply to: songs from other languages. #22957
    p u r n i m a
    Participant

    very nice song [as per translation], seems that lady sings with her lover on full moon night.

    Thanks Nisha

    in reply to: ANTAKSHARI: Names (noun) #64988
    p u r n i m a
    Participant

    Rakhi

    in reply to: Simple Antakshri #19036
    p u r n i m a
    Participant

    laage na moraa jiya, sajana nahin aaye, haaye
    laage na moraa jiya

    dekh liye piya tere iraade, jhuthe nikale jaa tere waade
    tadapat-tadapat yaad men teri, nain neer bhar aae, haaye
    laage na moraa jiya

    tuune meri sudh bisaraai, bedardi tohe laaj na aai
    bhool gae kyun, o harajaai, jaake des paraae, haaye
    laage na moraa jiya…..

    in reply to: Antakshari with any word from the song…… #52073
    p u r n i m a
    Participant

    hamen koi gham nahin tha, gham-e-aashiqi se pahele

    na thi dushmani kisis se, teri dosti se pahele

    in reply to: 1 alphabet change game #63189
    p u r n i m a
    Participant

    PRINTS

Viewing 20 posts - 2,701 through 2,720 (of 3,434 total)