Forum Replies Created

Viewing 20 posts - 2,661 through 2,680 (of 3,434 total)
  • Author
    Posts
  • in reply to: ANTAKSHARI: OLD SONGS ONLY!! #54202
    p u r n i m a
    Participant

    na toofaan se khelo, na sahil se khelo

    mere paas aa o , mere dil se khelo

    [M.Rafi: URAN KHATOLA: 1955]

    in reply to: write a song then pick a word for the nxt person.. #19994
    p u r n i m a
    Participant

    naa jaao saiyaan , chhuda ke bahiyaan

    qasam tumhaari, main ro padungi

    next: Khelo (once again)

    in reply to: ANTAKSHARI: Names (noun) #65004
    p u r n i m a
    Participant

    Aakriti

    in reply to: ANTAKSHARI: OLD SONGS ONLY!! #54200
    p u r n i m a
    Participant

    le jaa meri duaaen le jaa parades jaane vaale
    le jaa meri duaaen
    jaakar bhulaa na denaa, dil se meri wafaaen
    le jaa meri duaaen, le jaa parades jaane vaale
    le jaa meri duaaen……

    [Lata Jee : DEEDAR ; 1951]

    next : as you wish A-E-N

    in reply to: write a song then pick a word for the nxt person.. #19992
    p u r n i m a
    Participant

    who dil kahaan se laaun, teri yaad jo bhulaade
    mujhe yaad aane vaale, koi raasataa bataade
    who dil kahaan se laaun, teri yaad jo bhulaade

    next; “khelo”

    in reply to: Simple Antakshri #19048
    p u r n i m a
    Participant
    yeh zindagi usi ki hai, jo kisi ka ho gaya,pyaar hi men kho gaya-2
    yeh zindagi usi ki hain …
    (yeh bahaar, yeh sama, keh raha hai pyaar kar
    kisi ki aarzoo men, apne dil ko be-qaraar kar )-2
    (zindagi hai bewafa)-2, loot pyaar ka maza
    yeh zindagi usi ki hai, jo kisi ka ho gaya,pyaar hi men kho gaya
    yeh zindagi usi ki hai …
    <f
    in reply to: Antakshari with any word from the song…… #52089
    p u r n i m a
    Participant

    dil ka na karna aitabar koi

    haan bhule se bhi na karna pyaar koi

    in reply to: ANTAKSHARI: Names (noun) #65002
    p u r n i m a
    Participant

    AARTI

    in reply to: Ghazal Antakshari…. #61346
    p u r n i m a
    Participant

    har tarannum men mili hai teri aavaaz mujhe
    ek hi naghmaa sunaataa hai har ek saaz mujhe
    [tarannum=melody]

    ishq kaa bhii koi anjaam huaa karataa hai
    ishq men yaad hai aaghaaz hi aaghaaz mujhe
    [aaghaaz=begining]

    jaise veeraane se takaraa ke palatati hai sadaa
    dil ke har goshe se aai teri aavaaz mujhe
    [goshe=corner]

    jo kisi ko bhi na chaahe use chaahanaa
    umr bhar apani muhabbat par rahaa naaz mujhe

    [naaz=be proud]

    [Zia Jalandhari]

    next; Jhe

    in reply to: ANTAKSHARI: OLD SONGS ONLY!! #54198
    p u r n i m a
    Participant

    hone lagaa hai mujh pe
    jawaani kaa ab asar
    jhuki jaae nazar
    dekho chhalak padi hai
    mere roop ki gagar
    jhuki jaae nazar
    ho jhuki jaae nazar
    hone lagaa hai mujh pe
    jawaani kaa ab asar
    jhuki jaae nazar

    [Lata Jee : NASTIK : 1954]

    next: R

    in reply to: write a song then pick a word for the nxt person.. #19990
    p u r n i m a
    Participant

    tere sadake balam, na kar koi gham
    ye samaa ye jahaan phir kahaan
    ho, tere sadake balam na kar koi gham

    din hain suhaane, phir kaun jaane, aae na aae bahaar
    tu gham ko peele, dam bhar ko jeele, duniyaa kaa kyaa aaitabaar
    ho ji, piyaa, duniyaa ka kyaa aitabaar
    tere sadake balam…..

    kaanton men daaman, ulajhe na saajan, phoolon men hans ke guzaar
    thodi hansi hai, thodi khushi hai, dukh zindagi men hazaar
    ho ji, piyaa, dukh zindagi men hazaar
    tere sadake balam……..

    naiyaa milan ki, maujen pavan ki, kahati hain mujh ko pukaar
    gaataa chalaa chal, hansataa chalaa chal, jeevan ki nadiyaa ke paar
    ho ji, piyaa, jeevan ki nadiyaa ke paar
    tere sadake balam na kar koi gham
    ye samaa ye jahaan phir kahaan

    [Lata Jee : AMAR : 1954]

    next : Chand

    in reply to: Simple Antakshri #19046
    p u r n i m a
    Participant

    vo paas aa rahe hain, ham door jaa rahe hain
    apani Khushi se apani duniyaa mitaa rahe hain

    aankhen bhi ro rahi hain, dil bhi tadap rahaa hai
    aur vo samajh rahe hain, ham muskuraa rahe hain
    apani khushi se apani duniyaa mitaa rahe hain

    o door jaane waale, tujh ko Khabar nahin hai
    ham rooth kar Khushi se, gham ko manaa rahe hain
    apani Khushi se apani duniyaa mitaa rahe hain

    bedard hai zamaanaa, majaboor hai muhabbat
    manzil ke paas aa kar, manzil se jaa rahe hain
    apani Khushi se apani, duniyaa mitaa rahe hain

    vo paas aa rahe hain, ham door jaa rahe hain
    apani Khushi se apani, duniyaa mitaa rahe hain

    [Lata Jee : SAMAADHI : 1950]

    in reply to: Antakshari with any word from the song…… #52087
    p u r n i m a
    Participant

    abhi to saji hai muraadon ki duniyaa
    abhi se ye duniyaa mitaayenge kaise
    kahaani adhoori hai aur raat baaki
    chiraagh-e-tamannaa bujhaayenge kaise

    [Lata Jee; ZINDAGI : 1956]

    in reply to: ANTAKSHARI: Names (noun) #64998
    p u r n i m a
    Participant

    ANJALI

    in reply to: Guess the film….. #55911
    p u r n i m a
    Participant

    It is from RUDRAKSH-2003 sung by Gayatri Iyer,Kunal,Shankar

    next:

    andheri raat men ham aur tum
    haathon men haath hai hosh hain gum
    bheegaa mausam mast samaan hai
    tum hasin to ham bhi javaan hain
    aise men ab hosh kahaan hai
    aankhon men bas josh rahaa hai
    andheri raat men…..

    in reply to: Simple Antakshri #19044
    p u r n i m a
    Participant

    tadap tadap ke kati umr aashiyaane men
    milaa na chain hamen to kabhi zamaane men
    tadap tadap ke kati umr aashiyaane men

    bahaar aai khile phool, ham to ye samajhe
    kisi ne aag lagaai hai, ashiyaane men
    milaa na chain hamen to kabhi zamaane men
    tadap tadap ke kati umr aashiyaane men

    kisi se kuchh na kahaa
    kisi se kuchh na kahaa, apane dil se baaten ki
    ham aap jal gaye, dil kaa diyaa jalaane men
    milaa na chain hamen to kabhi zamaane men
    tadap tadap ke kati umr aashiyaane men

    (bhagavaan)-4
    hamaare sabr ka bhagavaan imtehaan na le
    kahin ye dam na nikal jaaye aazamaane men
    milaa na chain hamen to kabhi zamaane men
    tadap tadap ke kati umr aashiyaane men

    [Lata Jee :DO PHOOL- 1958]

    in reply to: Antakshari with any word from the song…… #52085
    p u r n i m a
    Participant

    mera qaraar lejaa, mujhe be-qaraar kar jaa

    dam bhar to pyaar kar jaa

    in reply to: ANTAKSHARI: Names (noun) #64996
    p u r n i m a
    Participant

    TULSI

    in reply to: ANTAKSHARI: Names (noun) #64994
    p u r n i m a
    Participant

    Zulfi

    in reply to: Simple Antakshri #19042
    p u r n i m a
    Participant

    rasiyaa re, man basiyaa re
    tere binaa jiyaa moraa laage naa
    laage naa re, jiyaa laage naa
    tere binaa jiyaa moraa laage naa
    rasiyaa re, man basiyaa re
    tere binaa jiyaa moraa laage naa

    (sun sun murali ki dhoon matavaari
    rah jaaye raadhaa tori, thaari ki thaari)-2
    laakh jatan karuun, laaj ki maari
    paanv chhat par aaye naa
    tere binaa jiyaa moraa laage naa
    rasiyaa re, man basiyaa re
    tere binaa jiyaa moraa laage naa

    (sang sang chalun tore man to ye chaahe re
    lok laaj roke piyaa, kaa karun haay re)-2
    raam kare haaye kisi ke man men bairi dard jaage naa
    tere binaa jiyaa moraa laage naa
    rasiyaa re man basiyaa re
    tere binaa jiyaa moraa laage naa

    next : S

Viewing 20 posts - 2,661 through 2,680 (of 3,434 total)