Forum Replies Created

Viewing 20 posts - 761 through 780 (of 2,056 total)
  • Author
    Posts
  • in reply to: Pure Love Songs #70423
    mamatha
    Participant

    vo paradesi man mein
    ho, kaun disha se aa gaya

    chaaron dishaaon mein ee ji lage laaj ke pahare the
    ho, parbat se bhi oonche oonche the saagar se bhi gahare the
    haay vo paradesi …

    main tootake phool si gir padu na kisi jholi mein
    ho, vo le na jaaye bithaake mujhe nainon ki doli mein
    haay vo paradesi …

    sochu khadi rok paai nahi main jise aane se
    ho, jaayega vo to use kaise rokuungi main jaane se
    haay, haay vo paradesi

    in reply to: write a song then pick a word for the nxt person.. #20499
    mamatha
    Participant

    Kuch To Hua Hai
    Kuch Ho Gaya Hai
    Kuch To Hua Hai
    Kuch Ho Gaya Hai

    Kuch To Hua Hai
    Kuch Ho Gaya Hai
    Do Chaar Din Se Lagta Hai Jaise
    Sab Kuch Alag Hai
    Sab Kuch Naya Hai
    Kuch To Hua Hai
    Kuch Ho Gaya Hai

    Cheezein Mein Rakh Ke
    Bhool Jaati Hoon
    Bekhayaali Mein Gungunati Hoon
    Ab Akele Mein Muskuraati Hoon
    Badli Hui Si Meri Ada Hai
    Kuch To Hua Hai
    Kuch Ho Gaya Hai

    Pighla Pighla Hai Dil Mera Jab Se
    Achcha Rehta Hain Mood Bhi Tab Se
    Haske Milta Hoon Aaj Kal Sab Se
    Khush Ho Gaya Hai Jo Bhi Mila Hai
    Kuch To Hua Hai
    Kuch Ho Gaya Hai

    Rang Chamkilay Saaare Lagte Hai
    Raah Mein Bhikre Tare Lagte Hai
    Phool Ab Zyaada Pyaare Lagte Hai
    Mehki Hui Si Jaisi Hawa Hai
    Kuch To Hua Hai
    Kuch Ho Gaya Hai

    Dhyaan Ab Apna Zyaada Rakhta Hoon
    Sochta Hoon Main Kaise Lagta Hoon
    Aaina Ho To Dekh Leta Hoon
    Kaise Yeh Chehra Aisa Khila Hai
    Kuch To Hua Hai
    Kuch Ho Gaya Hai

    Yeh Nasha Jisme Dono Rehte Hai
    Yeh Lehar Jisme Dono Behte Hai
    Ho Na Ho Isko Pyaar Kehte Hai
    Pyaar Mila To
    Dil Kho Gaya Hai
    Kuch To Hua Hai
    Kuch Ho Gaya Hai

    Next: lehar

    in reply to: ANTAKSHARI: OLD SONGS ONLY!! #55346
    mamatha
    Participant

    yaad tori aayi main to chham-chham royi re
    prit bhare aansuon ne chunari bhigoyi re chunari bhigoyi
    yaad tori aayi
    hazaar pahare lage hon magar o mere saathi
    milein jo pankh to panchhi se pahale main aati
    tose bichhad ke main to pal bhar na soyi re
    prit bhare aansuon

    tadap ke aaj tujhe haal-e-dil likha maine
    sambhal ke kholana kat isamein dil rakha maine
    chhote se dil mein saari duniya samoyi re
    prit bhare aansuon

    in reply to: Songs in Alphabetical Order #69950
    mamatha
    Participant

    tadbeer se bigdi hui taqdeer banaa le, taqdeer bana le
    apne pe bharosa hai to yeh daanv laga le
    laga le daanv laga le

    darta hai zamaane ki nigaahon se bhala kyun
    nigaahon se bhala kyun) 2
    insaaf tere saath hai ilzaam utha le, ilzaam utha le
    apne pe bharosa … daanv laga le

    hey hey, hey hey

    (kya khaak woh jeena hai jo apne hi liye ho
    apne hi liye ho) 2
    khud mitke isi aur ko mitne se bacha le, mitne se bacha le
    apne pe bharosa … daanv laga le

    hey hey, hey hey

    hey hey hey hey, hey hey

    hey, toote hue patwaar hain kashti ke to hum kya
    haari hui baahon ko hi patwaar bana le, patwaar bana le
    apne pe bharosa … danv laga le
    tadbeer se bigdi hui … daanv laga le

    in reply to: FIRST THING GAME #37953
    mamatha
    Participant

    Charming

    in reply to: A NEW GAME CALLED FILMAKSHARI #66915
    mamatha
    Participant

    Mard

    in reply to: Start next song picturized on person having some relation #71796
    mamatha
    Participant

    Rani Mukherjee

    Tauba Tumhaare Yeh Ishaare
    Hum To Deewane Hai Tumhaare
    Raaz Yeh Kaise Khol Rahi Ho
    Tum Aankhon Se Bol Rahi Ho
    Jaadoo Aate Hai Tumko Sare
    Tauba Tumhaare Yeh Ishaare
    Hum To Deewane Hai Tumhaare
    Choolete Ho Taar Jo Dil Ke
    Tum Hi Batao Tum Se Milke
    Jaanu Dil Koi Kyon Na Hare
    Tauba Tumhaare Yeh Ishaare

    Jism Damakta Jaadoo Jaadoo
    Zulf Ghaneri Khushboo Khushboo
    Saasein Hamari Mehki Mehki
    Nazren Tumhari Behki Behki
    Tumhara Badan Hai Jaise Chaman
    Hosh Uda De Yeh Nazare
    Tauba Tumhaare Yeh Ishaare
    Hum To Deewane Hai Tumhaare
    Raaz Yeh Kaise Khol Rahi Ho
    Tum Aankhon Se Bol Rahi Ho
    Jaadoo Aate Hai Tumko Sare
    Tauba Tumhaare Yeh Ishaare

    Koi Nasha Hai Chalka Chalka
    Hosh Bacha Hai Halka Halka
    Hum Hai Jaise Khoye Khoye
    Jage Lekin Soye Soye
    Machalti Raho Pigalti Raho
    Baahon Ke Ghere Mein Humare
    Tauba Tumhaare Yeh Ishaare
    Hum To Deewane Hai Tumhaare
    Choolete Ho Taar Jo Dil Ke
    Tum Hi Batao Tum Se Milke
    Jaanu Dil Koi Kyon Na Hare
    Tauba Tumhaare Yeh Ishaare
    Tauba Tumhaare Yeh Ishaare
    Hum To Deewane Hai Tumhaare
    Raaz Yeh Kaise Khol Rahi Ho
    Tum Aankhon Se Bol Rahi Ho
    Jaadoo Aate Hai Tumko Sare
    Tauba Tumhaare Yeh Ishaare
    in reply to: Antakshari with any word from the song…… #53148
    mamatha
    Participant

    tamanna lut gayi phir bhi tere dam se mohabbat hai
    mubaarak gair ko kushiyaan mujhe, gam se mohabbat hai

    na milta gam to barbaadi ke afsaane kahaan jaate
    agar duniya chaman hoti, to veeraane kahaan jaate

    chalo achha hua apnon mein koi gair to nikla
    jee, koi gair to nikla
    agar hote sabhi apne, to begaane kahaan jaate

    duaayen do mohabbat hamne mitkar tumko sikhalaadi
    mohabbat tumko sikhalaadi
    na jalte shama mein to parvaane kahaan jaate

    tumhi ne gam ki daulat di bada ehsaan farmaayaa,
    bada ehasaan farmaaya
    zamaane bhar ke aage haath phailaane kahaan jaate

    in reply to: Songs in Alphabetical Order #69947
    mamatha
    Participant
    qaraar khoya muhabbat mein is zamaane ne
    ye baat sach hi kahi hai kisi deewaane ne

    ke jaan chali jaaye jiya nahin jaaye
    jiya jaaye to phir jiya nahin jaaye
    lye ilzaam sar pe liya nahin jaaye
    liya jaaye to phir jiya nahin jaaye

    zamaane mein nahin deewaana ham sa
    deewaana nahin ye zamaana ham sa
    ye kya jaane ye kya samajhe ye baatein pyaar ki
    lke pyaar har kisi se kiya nahin jaaye
    kiya jaaye to phir jiya nahin jaaye

    na aayi kabhi nind na aaya hai qaraar
    hamaari tauba ham nahin karenge pyaar
    bas laao dil hamaara hamako de do o sanam
    ye dil le ke vaapas diya nahin jaaye
    diya jaaye to phir jiya nahin jaaye

    chura ke nazarein na dekho tum ye phool
    suno ye beruki hamein nahin qubul
    ya ham bhale jaayein ya kah do ye bahaar chali jaaye
    lbahaar chali jaaye piya nahin jaaye
    piya jaaye to phir jiya nahin jaaye
    ke jaan chali jaaye
    in reply to: WRITE A MOVIE!!SING A SONG!!! #23546
    mamatha
    Participant
    Dil Chahta Hai, Dil Chahta Hai
    Dil Chahta Hai, Kabhi Na Beete Chamkeele Din
    Dil Chahta Hai, Hum Na Rahein Kabhi Yaaron Ke Bin
    Din Din Bhar Ho Pyaari Baatein
    Jhoome Shaame, Gaaye Raatein
    Masti Mein Rahe Dooba Dooba Hameshaa Samaa
    Humko Raahon Mein Yoonhi Milti Rahein Khushiyaan
    Dil Chahta Hai, Kabhi Na Beete Chamkile Din,
    Dil Chahta Hai, Hum Na Rahe Kabhi Yaaron Ke Bin

    Jagmagaate Hain, Jhilmilaate Hain Apne Raastein
    Yeh Khushi Rahe, Roshni Rahe Apne Waaste
    Oh Oh Oh ...

    Jahan Ruke Hum, Jahan Bhi Jaayein
    Jo Hum Chaahein, Voh Hum Paayein
    Masti Mein Rahe Dooba Dooba Hameshaa Samaa
    Humko Raahon Mein Yoonhi Milti Rahein Khushiyaan
    Dil Chahta Hai, Dil Chahta Hai

    Kaisa Ajab Yeh Safar Hai, Socho To Har Ik Hi Bekhabar Hai
    Usko Jaana Kidhar Hai, Jo Waqt Aaye, Jaane Kya Dikhaaye
    Oh Oh Oh ...

    Dil Chahta Hai, Dil Chahta Hai
    Dil Chahta Hai, Kabhi Na Beete Chamkeele Din
    Dil Chahta Hai, Hum Na Rahein Kabhi Yaaron Ke Bin
    Din Din Bhar Ho Pyaari Baatein
    Jhoome Shaame, Gaaye Raatein
    Masti Mein Rahe Dooba Dooba Hameshaa Samaa
    Humko Raahon Mein Yoonhi Milti Rahein Khushiyaan

    Jagmagaate Hain, Jhilmilaate Hain Apne Raastein
    Yeh Khushi Rahe, Roshni Rahe Apne Waaste
    Oh Oh Oh ...

    Dil Chahta Hai ...

    Next: Dosti
    in reply to: FIRST THING GAME #37951
    mamatha
    Participant

    Ballet

    in reply to: ANTAKSHARI: Names (noun) #65725
    mamatha
    Participant

    Lokesh

    in reply to: A NEW GAME CALLED FILMAKSHARI #66913
    mamatha
    Participant

    Roop Ki Rani Choron ka Raja

    in reply to: YUMMY or YUCKY #45284
    mamatha
    Participant

    yummmmmm esp if it is from Tirupati..

    Green Salad with Lemon?

    in reply to: QUESTION GAME #39526
    mamatha
    Participant

    i dont easily cry…
    same q

    in reply to: WRITE A MOVIE!!SING A SONG!!! #23544
    mamatha
    Participant

    Baar baar haan, bolo yaar haan
    Apni jeet ho, unki haar haan) – 2
    Koi humse jeet na paave
    Chale chalo, chale chalo
    Mit jaave jo takraave, chale chalo
    Bhale ghor andheraa chhaave
    Chale chalo, chale chalo
    Koi raah mein na thaam jaawe, chale chalo
    Toot gayi jo ungli utthi
    Paanchon mili to ban gaye mutthi
    Eka badhta hi jaawe
    Chale chalo, chale chalo
    Koi kitna bhi bahekaave, chale chalo
    Koi humse jeet na paave
    Chale chalo, chale chalo
    Mit jaave jo takraave, chale chalo

    –CHORUS–
    Koi na ab roke tujhe, toke tujhe
    Tod de bandhan saare
    Mila hai kya hoke tujhe nirbal, tu hi bataa

    –MALE–
    Kabhi na dukh jhelenge, khelenge
    Aise ke dushman haare
    Ke ab to le lenge, himmat ka rasta
    Dharti hilaa denge, sab ko dikhaa denge
    Raja hai kya, parja hai kya, oh oh oh
    Hum jag pe chhaayenge, ab yeh bataayenge
    Hum logon ka darja hai kya, ho oh oh oh
    Baar baar haan, bolo yaar haan
    Apni jeet ho, unki haar haan
    Ab darr nahin mann mein aave
    Chale chalo, chale chalo
    Har bedi ab khul jaave, chale chalo

    –CHORUS–
    Chalaa hi chal, haanf nahin, kaanp nahin
    Raah mein ab to raahi
    Thakan ka saanp nahin ab tujhe dasne paaye

    –MALE–
    Vohi jo tera haaqim hai, jaalim hai
    Ki hai jisne tabaahi
    Ghar uska pachhim hai, yahan na bas mein paaye
    Dharti hilaa denge, sab ko dikhaa denge
    Raja hai kya, parja hai kya, oh oh oh
    Hum jag pe chhaayenge, ab yeh bataayenge
    Hum logon ka darja hai kya, ho oh oh oh
    Jo hona hai, ho jaave
    Chale chalo, chale chalo
    Ab sar na koi jhukaave, chale chalo
    Koi humse jeet na paave
    Chale chalo, chale chalo
    Mit jaave jo takraave, chale chalo
    Baar baar haan, bolo yaar haan
    Apni jeet ho, unki haar haan
    (Toot gayi jo ungli utthi
    Paanchon mili to ban gaye mutth

    Next: Khamoshi

    in reply to: YUMMY or YUCKY #45282
    mamatha
    Participant

    havent really heard of it….

    in reply to: FIRST THING GAME #37949
    mamatha
    Participant

    performance

    in reply to: ANTAKSHARI: Names (noun) #65723
    mamatha
    Participant

    Anjana

    in reply to: A NEW GAME CALLED FILMAKSHARI #66911
    mamatha
    Participant

    Ekalavya

Viewing 20 posts - 761 through 780 (of 2,056 total)