Please translate this beautiful ghazal by Ahmad Faraz.
Guzar gaya jo zamaana ussay bhula hi do
Jo naqsh ban nahe sakta ussay mita hi do
Guzar rahay hain jo lamhat ussay amar kar lain
Mein apne khoon se likhta hoon tum zabaan hi do
Kisi tarah se tagaful ka baab-e-shab tu khullay
Nahee mein pyar ke kaabil tu kuch saza hi do
Ruki ruki si hawa hai thaka thaka hai chand
Wafa ke dasht mein hairaan kharray hain raahi do
Khuleyga tark-e-taaluq ke baad baab-e-faraz
Yeh ek aakhri parda bhi ab utha hi do …
Guzar gaya jo zamaana ussay bhula hi doThe times that have passed, forget about them
Jo naqsh ban nahe sakta ussay mita hi doThe mark that cannot be made, destroy them
Guzar rahay hain jo lamhat ussay amar kar lainThe moments that are passing by, make them immortal
Mein apne khoon se likhta hoon tum zabaan hi doI will write with my blood, but you only give your word
Kisi tarah se tagaful ka baab-e-shab tu khullayWhichever way you open the affair of neglect
Nahee mein pyar ke kaabil tu kuch saza hi doI am not fit for love, give me some punishment
Ruki ruki si hawa hai thaka thaka hai chandThe wind has stopped, the moon is tired
Wafa ke dasht mein hairaan kharray hain raahi doTwo travellers are worried in the desert of loyalty
Khuleyga tark-e-taaluq ke baad baab-e-farazThe affair of evelation will open after relations break
Yeh ek aakhri parda bhi ab utha hi do … Lift this last veil of modesty
Thank you so much madhuji….