Please translate Sargoshiya (Kisi Din)Adnan Sami

Viewing 1 reply thread
  • Author
    Posts
    • #7666
      bindibop
      Participant
      aankhon ki sargoshiya, honto ki khaamoshiya - 2
      dil kahe bata de kahaaniya tere jajbaat se
      hai wo bekhabar, tu hai bekhabar, chhaayi madhoshiya

      raahato ki gali mein dard ka kaafila hai - 2
      dhadkane keh rahi hai ishq ka silsila hai
      ek pal kahi abb sukun nahi, chubhati tanhaayiya - 2
      aankhon ki sargoshiya, honto ki khaamoshiya - 2

      lamho ki chaadaro pe yaad bikhari padi hai
      ek pal judaayi sadiyon se bhi badi hai
      tera ehsaas hai mere paas banke parchaayiyaan - 2
      aankhon ki sargoshiya, honto ki khaamoshiya - 2
      dil kahe bata de kahaaniya mere jajbaat se
      main hoon bekhabar, tu hai bekhabar, chhaayi madhoshiya

    • #65977
      madhurdixit
      Participant
      aankhon ki sargoshiya, honto ki khaamoshiya – 2
      The warmth of the eyes, the silence of the lips

      dil kahe bata de kahaaniya tere jajbaat se
      The heart says tell the story from your emotions

      hai wo bekhabar, tu hai bekhabar, chhaayi madhoshiya
      She is unaware, you are unaware, intoxication has cast

      aankhon ki sargoshiya, honto ki khaamoshiya – 2
      The warmth of the eyes, the silence of the lips

      raahato ki gali mein dard ka kaafila hai – 2
      In the alleys of the traveller are caravans of pain

      dhadkane keh rahi hai ishq ka silsila hai
      The heartbeats are saying, this is the tale of love

      ek pal kahi abb sukun nahi, chubhati tanhaayiya – 2
      There is no peace for one moment, loneliness pinches

      aankhon ki sargoshiya, honto ki khaamoshiya – 2
      The warmth of the eyes, the silence of the lips

      lamho ki chaadaro pe yaad bikhari padi hai
      On the veil of time memories are scattered

      ek pal judaayi sadiyon se bhi badi hai
      A moment of separation is greater than an era

      tera ehsaas hai mere paas banke parchaayiyaan – 2
      There is your feeling as a near by shadow

      aankhon ki sargoshiya, honto ki khaamoshiya – 2
      The warmth of the eyes, the silence of the lips

      dil kahe bata de kahaaniya mere jajbaat se
      The heart says tell the story from your emotions

      main hoon bekhabar, tu hai bekhabar, chhaayi madhoshiya
      She is unaware, you are unaware, intoxication has cast

      aankhon ki sargoshiya, honto ki khaamoshiya – 2
      The warmth of the eyes, the silence of the lips

Viewing 1 reply thread
  • You must be logged in to reply to this topic.