ma: (phir chhidi raat, baat phoolon ki
fa: raat hai ya baaraat phoolon ki) –
fa: phool ke hain phool ke gajre –
shaam phoolon ki, raat phoolon ki
ma: aapka saath-saath phoolon ka –
aapki baat baat phoolon ki
fa: phool khilte rahenge duniya mein –
roz niklegi baat phoolon ki
ma: nazrein milti hain jaam milte hain –
mil rahi hai hayaat phoolon ki
ma/fa: ye mahakati hui gazal makadu –
jaise sahara mein raat phoolon ki