--MALE--
Hm hm hm hm, eh hey hey, ah ha ha
Aate jaate jo milta hai tumsa lagta hai - 2
Hum to paagal ho jaayenge, aisa lagta hai
O tere pyaar mein, tere intezaar mein - 2
--FEMALE--
Tumse milke maine jaana
Yeh pyaar bhi ajeeb cheez hai
Insaan khud ko bhool jaata hai
Aisa kyoon hota hai?
--MALE--
Ho, deewanepan ki yeh inteha hai
Chehron mein kya hai chehra tera
Tere siva hum soche bhi kaise
Yaadon ke harpal pehra tera
Kya bebasi hai jaano sanam
Kehna hamaara maano sanam
Humse poochho tanha rehna kaisa lagta hai
Hum to paagal ho jaayenge, aisa lagta hai
O tere pyaar mein, tere intezaar mein - 2
--FEMALE--
Hey, relax!
--MALE--
Tumhe dekhta hoon to lagta hai
Koi aisa bhi mere paas to hai
Arre jisko meri tanhaai ka ehsaas to hai
--FEMALE--
Yeh aashiqui bhi aisa nasha hai
Jab yeh lage to chhoote nahin
Naata dilon ka hai aisa naata
Tode se bhi to toote nahin
Jisne kaha yeh sach hi kaha
Bhoole kabhi na pehli vafa
--MALE--
Tumse milna, baatein karna achchha lagta hai
Hum to paagal ho jaayenge, aisa lagta hai
O tere pyaar mein, tere intezaar mein - 2
Kya sochne lagi?
--FEMALE--
Huh? Uh, soch rahi hoon, tum kya soch rahe ho?
--MALE--
Ha, main? Ha ha ha ha
Ho, jee chahta hai zulfon ke neeche
Yunhi hamesha soye rahe
Bas tumko dekhe, bas tumko chaahe
Khwaabon mein yunhi khoye rahe
Tumse mili hai jab se nazar
Humko nahin hai kuch bhi khabar
Ab to humko afsaana bhi sachcha lagta hai
Hum to paagal ho jaayenge, aisa lagta hai, oh
Aate jaate jo milta hai tumsa lagta hai
Hum to paagal ho jaayenge, aisa lagta hai
O tere pyaar mein, tere intezaar mein - 2
Hm hm hm hm, eh hey hey, ah ha ha
|