Viewing 1 reply thread
  • Author
    Posts
    • #7679
      bindibop
      Participant

      [In lamhoo ki har daali par khil gaye
      phool kayi, jab dil se dil mil gaye
      Aankhein aankhon se kehne lagi hai
      ek nayi dastaan
      (Halke halke rang chhalke
      jaane abb kya hone ko hai) – 2] – 2

      Saahil pe jaise aati hai lehraake mauje
      dil mein aayi hai umange
      Bheegi hawaayein gaati hai meethi si dhun mein
      jaagi jaagi hai tarangein
      Ajnabee jo kal mile the
      faasle unke kam ho gaye
      (Halke halke rang chalke
      jaane abb kya hone ko hai) – 2

      Phoolon ki rut mein bhawarein bhi deewane se hai
      kaliyaan khilati hai sharmili
      Abb zindagi ne odhi hai ek mehki mehki
      khwaabo ki chaadar rangili
      Tum se milke saath chalke
      kya se kya dekho hum ho gaye
      (Halke halke rang chalke
      jaane abb kya hone ko hai) – 2

      In lamhoo ki har daali per khil gaye
      phool kayi jab dil se dil mil gaye
      Aankhein aankhon se kehne lagi hai
      ek nayi dastaan
      (Halke halke rang chalke
      jaane abb kya hone ko hai) – 2

    • #66048

      [in lamhoo ki har daali par khil gaye
      phool kayi, jab dil se dil mil gaye
      many flowers blossomed on every branch of these moments when our hearts met
      aankhein aankhon se kehne lagi hai
      ek nayi dastaan
      eyes started telling a new story to eyes
      (halke halke rang chhalke
      softly colour overflows
      jaane abb kya hone ko hai) – 2] – 2
      who knows what is going to happen now

      saahil pe jaise aati hai lehraake mauje
      like waves coming wavering at the shore
      dil mein aayi hai umange
      desires in my heart have came
      bheegi hawaayein gaati hai meethi si dhun mein
      moist air sings sweet melody
      jaagi jaagi hai tarangein
      desires are awaken
      ajnabee jo kal mile the
      strangers who met yesterday
      faasle unke kam ho gaye
      distance between them has reduced
      (halke halke rang chalke
      jaane abb kya hone ko hai) – 2

      phoolon ki rut mein bhawarein bhi deewane se hai
      bees are crazy in the season of flowers
      kaliyaan khilati hai sharmili
      shy flower buds are opening up
      abb zindagi ne odhi hai ek mehki mehki
      khwaabo ki chaadar rangili
      now life is covered in the fragrant sheet of colourful dreams
      tum se milke saath chalke
      meeting you, walking with you
      kya se kya dekho hum ho gaye
      look what has happened to me
      (halke halke rang chalke
      jaane abb kya hone ko hai) – 2
      in lamhoo ki har daali per khil gaye
      phool kayi jab dil se dil mil gaye
      aankhein aankhon se kehne lagi hai
      ek nayi dastaan
      (halke halke rang chalke
      jaane abb kya hone ko hai) – 2

Viewing 1 reply thread
  • You must be logged in to reply to this topic.