Agar Kabhi Meri Yaad Aaye
To Chaand Raaton Ki Dilgeer Roshni Main
Kisi Sitaray Ko Dekh Laina
Agar Woh Nakhal Falak Say Urh Kar
Tumharay Kadmoon Aagiray To Yeh Jaan Laina
Woh Istiaara Tha Meray Dil Kaa
Agar Naa Aaye?….
Magar Yeh Mumkin Hi Kis Tarha Hai Kay Tum Kisi Par Nigah Daloo
Too Us Ki Deewaar-E-Jaan Naa Tootay
Woh Apni Hasti Naa Bhool Jaye!!
Agar kabhi Meri Yaad Aaye
Garaiz Karti *** Hawaoon Ki Lehroon Pay Haath Rakhna
Main Khushbuoon Main Tumhain Miloon Gaa
Mujhay Gulaab Ki Patioon Main Talaash Karna
Main Aous Qatra Kay Aainay Main Tumhain Miloon Gaa
Agar Sitaaroon Main, Aous Khushbhuoon Main
Naa Paoo Mujh Koo
To Apnay Kadmoon Main Dekh Laina
Main Gird Hoti Musafitoon Main Tumhain Miloon Gaa
kahin Pay Roshan Chiraagh Dekh Loo To Jaan Laina
Kay Har Patangay Kay Saath Main Bhi Sulag Chuka Hoon
Tum Apnay Haatoon Say In Patangoon Ki Khaak Darya Main Daal Daina
Main Khaak Ban Kar Sumandar Main Safar Karoon Gaa
Kisi Naa Dekhay Huay Jazeeray Par Ruk Kay Tumhain Sadain Doon Gaa
Sumandaroon Kay Safar Pay Nikloo
Too Is Jazeeray Pay Kabhi Utarna
Agar Kabhi Meri Yaad Aaye
If you ever remember me
To Chaand Raaton Ki Dilgeer Roshni Main
Then in the light of the glum evening moon
Kisi Sitaray Ko Dekh Laina
Look at a star
Agar Woh Nakhal Falak Say Urh Kar
If it flew from the heavens
Tumharay Kadmoon Aagiray To Yeh Jaan Laina
And fell to your feet then make sure you know
Woh Istiaara Tha Meray Dil Kaa
It was the metaphor of my heart
Agar Naa Aaye?….
If it does not come
Magar Yeh Mumkin Hi Kis Tarha Hai Kay Tum Kisi Par Nigah Daloo
But how is this possible that you glance on somebody
To Us Ki Deewaar-E-Jaan Naa Tootay
And the wall of his life does not break
Woh Apni Hasti Naa Bhool Jaye!!
That he does not forget his existance
Agar kabhi Meri Yaad Aaye
If you ever remember me
Garaiz Karti *** Hawaoon Ki Lehroon Pay Haath Rakhna
Lay your hand on the waves of the breeze
Main Khushbuoon Main Tumhain Miloon Gaa
I will meet you in the fragrance
Mujhay Gulaab Ki Patioon Main Talaash Karna
Look for me in the petals of the rose
Main Aous Qatra Kay Aainay Main Tumhain Miloon Gaa
I will meet you in that drop of that mirror
Agar Sitaaroon Main, Aous Khushbhuoon Main
<span style="font-size:10pt;f
wah !
this isn't from a film, i don't think?
suna hai ki yeh ek shayer hai… Muhabbat ki aik nazm – Amjad Islam Amjad?
Aapko jaanti hai, main iss poem kahan se download ya listen kar sakti hoon?
(and please can you correct my Hindi? lolz… )