Gairon pe karam, apano.n pe sitam…mmm
Ae jaan-e-vafaa, ye zulm na kar
Gairon pe karam, apano.n pe sitam
Ae jaan-e-vafaa, ye zulm na kar
Gairon pe karam, apano.n pe sitam
Ae jaan-e-vafaa, ye zulm na kar
Rehne de abhii, thoda sa bharam
Ae jaan-e-vafaa, ye zulm na kar
Gairon pe karam, apano.n pe sitam
Hum chaahanewaale hai.n tere, yuu.n hum ko jalaana thiik nahi.n
Mehfil main tamaasha ban jaaye, is darjaa sataana thiik nahi.n
Is darjaa sataana thiik nahi.n
Mar jaayenge hum, mit jaayenge hum
Ae jaan-e-vafaa, ye zulm na kar
Gairon pe karam, apano.n pe sitam
Ae jaan-e-vafaa, ye zulm na kar
Ye zulm na kar
Gairon ke thirakte shaanepar, ye haath ganwaara kaise kare.n?
Gairon ke thirakte shaanepar, ye haath ganwaara kaise kare.n?
Har baat ganwaara hain lekin, ye baat ganwaara kaise kare.n
Yeh baat ganwaara kaise kare.n
Tujhko teri bedardi ki kasam, ae jaan-e-vafaa, ye zulm na kar
Gairon pe karam, apano.n pe sitam
Ae jaan-e-vafaa, ye zulm na kar
Ye zulm na kar
Hum bhi the tere manzoor-e-nazar, ji chaahe to ab ikaraar na kar
Sau teer chalaa seene pen magar, begaano.n se mil kar waar na kar
Begaano.n se mil kar waar na kar
Be maut kahi.n mar jaaye na hum, ae jaan-e-vafaa, ye zulm na kar
Gairon pe karam, apano.n pe sitam
Ae jaan-e-vafaa, ye zulm na kar
Rehne de abhii, thoda sa bharam
Ae jaan-e-vafaa, ye zulm na kar
Ye zulm na kar