vo jo ham me.n tum me.n qaraar thaa tumhe.n yaad ho ke na yaad ho
vahii yaanii vaadaa nibaah kaa tumhe.n yaad ho ke na yaad ho
vo naye gile vo shikaayate.n vo maze maze kii hikaayate.n
vo har ek baat pe ruuThanaa tumhe.n yaad ho ke na yaad ho
ko_ii baat aisii agar hu_ii jo tumhaare jii ko burii lagii
to bayaa.N se pahale hii bhuulanaa tumhe.n yaad ho ke na yaad ho
suno zikr hai ka_ii saal kaa, ko_ii vaadaa mujh se thaa aap kaa
vo nibaahane kaa to zikr kyaa, tumhe.n yaad ho ke na yaad ho
kabhii ham me.n tum me.n bhii chaah thii, kabhii ham se tum se bhii raah thii
kabhii ham bhii tum bhii the aashnaa, tumhe.n yaad ho ke na yaad ho
hue ittefaaq se gar baham, vo vafaa jataane ko dam-ba-dam
gilaa-e-malaamat-e-arqabaa, tumhe.n yaad ho ke na yaad ho
vo jo lutf mujh pe the beshtar, vo karam ke haath mere haath par
mujhe sab hai.n yaad zaraa zaraa, tumhe.n yaad no ki na yaad ho
kabhii baiThe sab hai.n jo ruu-ba-ruu to ishaarato.n hii se guftaguu
vo bayaan shauq kaa baramalaa tumhe.n yaad ho ki na yaad ho
vo biga.Danaa vasl kii raat kaa, vo na maananaa kisii baat kaa
vo nahiii.n nahii.n kii har aan adaa, tumhe.n yaad ho ki na yaad ho
jise aap ginte the aashnaa jise aap kahate the baavafaa
mai.n vahii huu.N “Momin”-e-mubtalaa tumhe.n yaad ho ke na yaad ho