--FEMALE 1--
Mehndi lagaake aayi
--FEMALE 2--
Haai
--FEMALE 1--
Bindiya sajaake aayi
--FEMALE 2--
Oye hoye hoye hoye
--FEMALE 1--
Mehndi lagaake aayi, bindiya sajaake aayi
Choodi khankaake aayi, paayal chhankaake aayi
Ho, ab geet milan ke gaana hai
--CHORUS--
Gaana hai, gaana hai
--FEMALE 1--
Mujhe saajan ke ghar jaana hai - 3
--CHORUS--
Mujhe saajan ke ghar jaana hai
--FEMALE 1--
Haan, mujhe saajan ke ghar jaana hai
Mujhe saajan ke ghar jaana hai - 2
--FEMALE 2--
Gudiya patole the meriyaan nishaaniyaan
Yaadon reh jaaniyaan
--FEMALE 1--
Bachpan beeta jawaani aayi, hoye
Bachpan beeta jawaani aayi
Saajan ka sandesa laayi
Saiyyaanji ki sej ko jaake
Phoolon se mahekaana hai
Mujhe saajan ke ghar jaana hai - 2
Haan mujhe saajan ke ghar jaana hai
--FEMALE 2--
Jamdiyaan mohe piya to paraaiyaan ho jaandiyaan
Piya mar jaaniyaan
--FEMALE 1--
Pal mein naata tod chali main, hoye
Pal mein naata tod chali main
Baabul ka ghar chhod chali main
Ab to piya ke des mein
Saara jeevan mujhe bitaana hai
Mujhe saajan ke ghar jaana hai - 2
Haan mujhe saajan ke ghar jaana hai
Oh oh oh, aah aah aah aah
Beti ki taqdeer ka likha, haai
Beti ki taqdeer ka likha padhke mamta royi
Kisi ne isko janam diya aur le jaaye ise koi
--MALE--
Ho, sajdhajke aaye baaraati, laaye ghode haathi
O, teri shaadi ke mauke pe milke sehra gaayenge
Sada suhaagan rahe tu banno, tujhe duaaein de jaayenge
Aaj ki raina hum logon ko jhoom jhoomke gaana hai
Oye hoye!
--CHORUS--
Mujhe saajan ke ghar jaana hai - 2
--FEMALE 1--
Mujhe saajan ke ghar jaana hai
Haan mujhe saajan ke ghar jaana hai
Mujhe saajan ke ghar jaana hai - 2
No comments yet